Sunni Hanfi Organization Website Ka Maksad Islam Ki Sahih Tarjumani Quran Sunnat Izma Kayas se Aqaid aur Mamulaat E Ahle Sunnat Par dalail se dena hai references Scan pages kay saath Aap is website ko zyada se zyada share karen Note : Copy Paste karke alag se same article apne blog me update karne se bahtar hai isko share karen aur un masle me likhe jispe kaam nahi huwa

Search This Blog

Tuesday 28 July 2015

Gairullah Se Madad Maangna Kaisa

سم الله الرحمن الرحيم



♥ السلام عليك يا رسول الله ♥ ♥ السلام عليك يا حبيب الله ♥
Iske Pehle Ki Post Me Akeeda E Tauheed, Me’aar E Uloohiyat Aur Sifaat e Baari Taala K Mutaalik Ahem baatein likhi hai wo pehle padhle CLICK HERE TO READ POST 01 phir isko padhe Taaki Is Post ko Samajhne Me Aasani ho kyuki tamam cheez ek dusre se interconnect hai.

Part 03 - ALLAH K BANDO KA ALLAH KI ATA SE MADADGAAR HONA
Mukhaliffen k taraf se Ahle Sunnat K Khilaf Sabse Ahem jo unwaan hai wo ye hai k Tum Gairullah se maangte ho lihaja Shirk hai awwal to pehli post pe humne Ayaat e Qurani se wajeh kiya hai k Me’aar E Uloohiyat Madadgaar hona Mushkil kusha Hona Hazatrawa hona Dastageer Hona nahi hai agr Madadgaar Hona Me’aar e Uloohiyat hota to ek lamha k liye bhi kisi ko nahi diya jaata hai Lihaja jo jaahil ye khte hai Madadgaar Maan lene Se Shirk hojayha wo  Ahkaam e Quran se khali hai Shirk tab aayga Jab IBADAT ki jaygi ALLAH ki siwa kisi aur ki to shirk hoga abhi mai aayate likhunga Madadgaar hone k talluk se
Allah Taala ne Khud Apne bando ko Apni Madad Ka Mazhar Banaya hai jo Nas e Quran se saabit hai Ab Jin Ahmak Jahilo ko Ibadat Aur Madadgaar Hone Me Fark nahi Pata wo hi jaahil hai jo Shirk k fatwe thokte hai kitna FARK hai MADAD aur IBADAT me soche to saaf saaf samajh aajayga.
MADAD Iske liye arabi lafz hai ISTEGHASA aur ISTIANAT ye dono lafz Quran me mauzood hai.

1)ISTEGHASA  : ”KISI KO MADAD K LIYE PUKARNA”
(Imam Raghib Asfahani Al Mufradat Alfaaz AL Quran, Pg : 617)
2)ISTIA’NAT  : ”MADAD TALAB KARNA”
(Imam Raghib Asfahani Al Mufradat Alfaaz AL Quran, Pg : 598)

Ahle Sunnah Wa Jamaat Ka Aqeeda Is Talluk Se Kya Hai Ambiya Alaihumsalam Aur Aulia Allah Rizwanullahi Azmain Se Madad Maangna Zaij Hai Jabki Uska Aqeeda yeh Ho ki Hakiki Imdaad To Rab Taala Hi Ki Hai Yeh ALLAH k Bande Uski Madad k Mazhaar Hai.
Aur Musalmaan Ka yehi Akeeda Hota Hai Ek kam ilm Se leke unpad Musalman tak Ka yehi Akeeda Hota Hai Aur Wo Kisi ALLAH k Bande ko ALLAH ya ALLAH k barabar Nahi Samajhta.
WAHABI KI MAKKARI AUR JHUTO PROPOGANDA
Wahabi Mullah Gair Mukkalid Dev k pujari dono ye jitne baatil firqe hai Sabka Ahle Sunnat Wa Jaamat k khilaf ek jhoota Propoganda hota hai jisme awaam ko hamesha uljhate hai ye wo kahenge Dekho Jo ALLAH se direct maangta hai usko tum Kafir gustakh bolte ho hamara Jurm ye hai k Hum ALLAH se mangte hai tum Gair ullah se maangte ho.
Ye Sadi ka sabse bada jhoot hai hamari kisi Motebar Aalim e Deen ne ya hamari kisi motebar kutoob me ye nahi likha hai k JO ALLAH se Direct Maange wo Gustakh hai yaa kaafir hai balki Wahabi Kaafir isliye huwe hai k inke Mullao ne ALLAH AUR RASOOL ki sakht Gustakhi ki hai ye khabis apni gustakhi ko chupane k liye unwaan badal dete hai.
Aap direct maango wo bhi jaiz hai ALLAH waalo ko mazhar samajh k maango to bhi jaiz hai hamesha yaad rakhe direct ALLAH se maangne pe kisi ka Ektelaf hai hi nahi.
Ab aaye apne Dalail Ki Taraf Piche Post me humne 24 Qurani aayat se inki so called tauheed ka raddh kiya hai ab aage.

Allah Taala ne Apne Deen Ki Madad Apne Bando Se Karwaayi
Ayat 25 :
يا أَيُّهَا الَّذينَ آمَنوا كونوا أَنصارَ اللَّهِ كَما قالَ عيسَى ابنُ مَريَمَ لِلحَوارِيّينَ مَن أَنصاري إِلَى اللَّهِ ۖ قالَ الحَوارِيّونَ نَحنُ أَنصارُ اللَّهِ ۖ فَآمَنَت طائِفَةٌ مِن بَني إِسرائيلَ وَكَفَرَت طائِفَةٌ ۖ فَأَيَّدنَا الَّذينَ آمَنوا عَلىٰ عَدُوِّهِم فَأَصبَحوا ظاهِرينَ
“Aye Imaan Waalo Allah k Deen K Madadgaar Raho Jaise Isaa Maryam K Bete Ne Hawariyo Se Kaha Tha Kon Hai Jo ALLAH ki Taraf Hoke Meri Madad Kare Hawari Bole Hum Khuda K Deen K Madadgaar Hai To Bani Israel K Ek Giroh Ne Imaan Laaya aur ek Giroh Ne Kufr Kiya To Humne Imaan Waalo Ko Unke Dushmano Par Madad Di TO Gaalib Hogaye ”
(Surah No 61 Surah Saff Ayat 14)
Ayat 26 :
يا أَيُّهَا الَّذينَ آمَنوا إِن تَنصُرُوا اللَّهَ يَنصُركُم
“Aye Imaan Waalo Agar Tum Khuda k Deen Ki Madad Karoge Allah Tumhari Madad Karega”
(Al Quran Surah 47 Muhammad Ayat : 07)

Is Aayat me Mauzood hai Hazrat Isaa Alaihi Salam ne apne Hawario se madad maangi hai halanki k khud Nabi hai ALLAH ne to aayat bhejni thi naa k Isaa Ye Kya tu Nabi Hoke Gairullah se madad le raha Hai par iske Khilaf Quran me mauzood hai k ALLAH ne Aisa nahi farmaya balki us madad pe Fakr kiya hai aur Musalmaano ko bhi taakeed ki k Tum Bhi Us Trah deen ki madad karo jaise Isa Alaihi Salam k Hawario ne ki hai
Kya Allah Taala Khud Apne Deen Ki Madad Nahi Kar Sakta hai Jo Bando Se keh Raha Hai ?
Kya Matlab Huwa ALLAH k Izan k bina koi lakh koshish karle kuch nahi kar sakta kya akeeda banega Hakiki Madad to ALLAH hi karta hai bande bas Mazhar hai aur unke yaha to madadgaar hona hi shirk hai phir ye kya Shirk Huwa.

Aaalam E Arwaah Me Tamam Ambiya Alaihi Salam Se Waada k Tum Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم Ki Madad Karna
Ayat 27 :
ثُمَّ جاءَكُم رَسولٌ مُصَدِّقٌ لِما مَعَكُم لَتُؤمِنُنَّ بِهِ وَلَتَنصُرُنَّهُ
“Phir Tashrif Laaye Tumhare Pass Wo Rasool To Tum Zaroor Zaroor Unpar Imaan Laana Aur Zaroor Zaroor Unki Madad Karna
(Surah 03 Al Imraan Ayat 81)
Ye Aayat e Mubaraka Us wakya ki tashreeh hai jab Dunya me Insaano ko bheja nahi gaya tha us wakt Tamam Insaano ki Rooh ko AALAM E ARWAAH me jama kiya gaya aur baad me fakat unki Rooh e Aqdas ko rakha gaya jo Nabiyo me Shamil hai us wakt ALLAH taala ne Tamam Nabiyo se ye waada liya k Jab Kabhi Agar Tumhare Darmiyan Nabi E KARIM صلى الله عليه و آله وسلم tashreef le aaye to unpar Imaan Laana Unka Kalima padhna aur UNKI MADAD KARNA to yaha MADAD kyu karne ko kaha ?
Hazrat Moosa Alaihi Salam Ka Hazrat Haroon Alaihi Salam Ko Apna Wazir Aur Madadgaar Banwana
Ayat 28 / 29 /30 :
وَاجعَل لي وَزيرًا مِن أَهلي -  29
هارونَ أَخِي - 30
اشدُد بِهِ أَزري - 31
“Aur Mere Liye Mere Ghar Waalo Me Se Ek Wazir Karde - 29
Woh Kaun Mera Bhai Haroon - 30
Usse Meri Kamar Mazboot Kar - 31”
(Surah 20 Surah Taha Ayat 29 - 30 -31)
Allah taala ne to ye bol dena wahabi nukte nazar se Moosa Alaihi Salam Tujhe Kalimullah Banaya Tujhe Mujhpe Tawakko na rhi jo apni madad k liye apne bhai ko intekhab kar liya Kya bharosa naa raha Apne Rab pe tune Gairullah se Madad ki maang kar li kyu naa ye farmaya Kya Moosa Alaihi Salam ko bhi tauheed nahi yaad thi ?
Balki Quran Me Allah Taala Ne Is Darkhawast k baare me kya kaha hai padhe Quran
Ayat 31 :
قالَ قَد أوتيتَ سُؤلَكَ يا موسىٰ
“Farmaya Aye Moosa Teri Maang Tujhe Ata Huwi”
(Surah 20 Surah Taha Ayat : 36)
Allah Taala ne Hazrat Moosa Alaihi Salam ki Darkhwast ko kabool kiya aur unhe basharat di k Haroon Alaihi salam ko wajeer bhi bana diya aur tera Madadgaar bhi bana diya..
Kya Taweel laynge wo jinhone me’aar e uloohiyat madadgaar ko banaya hai aur shirk k fatwe maar rhe hai wohi taweel laaynge jo AHLE SUNNAT ka mazhab hai k HAKIKI Madad ALLAH Ki Hai BANDE EK DUSRE K MAZHAR HAI.
Sabit Kadam Rakhna Madadgaar Hona MAIDAN E BADR KA MARHALA AUR FARISHTO KA MADADGAAR HONA
Ayat 32 :
يا أَيُّهَا الَّذينَ آمَنوا إِن تَنصُرُوا اللَّهَ يَنصُركُم وَيُثَبِّت أَقدامَكُم
“Aye Imaan Waalo Agar Tum Khuda k Deen Ki Madad Karoge Allah Tumhari Madad Karega aur Tumhare Kadam Jama Dega
(Al Quran Surah 47 Muhammad Ayat : 07)

Ayat 33 :
إِذ يوحي رَبُّكَ إِلَى المَلائِكَةِ أَنّي مَعَكُم فَثَبِّتُوا الَّذينَ آمَنوا ۚ
“Jab Aye Mehboob, Tumhara Rab Farishte Ko Wahi Bhejta Tha Ki Mai Tumhare Saath Hoon Tum Musalmano ko Sabit Kadam Rakho
(Al Quran Surah 08 Anfal Ayat : 12)
Allah Taala ne Musalmano se kaha k tum ALLAH k  deen ki madad karo ALLAH Taala Tumko sabit kadam rakhega Saabit Kadam rakhega ab sabit kadam rakhna ye madad hai Mushkil Kushai hai Hazaat Ravayi hai ab ye unke mutabik Me’aar e uluoohiyat madadgaar hona hai agr Rab k siwa kisi pe ye maan le to shirk aajayga.
Pehli Aayat me Farmaya Saabit Kadam Mai Rakhta Hoon Uske Baad Surah Anfal me Farmaya FARISHTO Tum Saabit Kadam Rakho Kyu ?
Jab ALLAH Taala Ne Khud Saabit kadam Rakh diya to phir Farishto ko Kyu Bheja ?
Kya Rab Taala K Paas Koi Kami thi Kya ALLAH TAALA Ki khud ki madad kaafi nahi thi jo Farishto Ko Darmiyan me laaya ?
Kabhi Ek Lamhe k liye bhi gaur o fikr kiya hai khwarijeen wahabiyo ne ? 02 aayat aur padhe phir is sawal ka jawab bhi aajayga magar mukhalifeen iska jawab naa de sakenge.
Ayat 34 :
قُل مَن كانَ فِي الضَّلالَةِ فَليَمدُد لَهُ الرَّحمٰنُ مَدًّا ۚ حَتّىٰ إِذا رَأَوا ما يوعَدونَ إِمَّا العَذابَ وَإِمَّا السّاعَةَ فَسَيَعلَمونَ مَن هُوَ شَرٌّ مَكانًا وَأَضعَفُ جُندًا
“Tum Farmao Jo Gumraahi Me Ho To Use Rehmaan Ne Khoob Dheel De, Yaha Tak ki Jab Wo Dekhe Wo Cheez Jiska Unhe Waada Diya Jaata Hai Yaa To Aazab Yaa Kayamat To Ab Jaan Lenge Ki Kis Ka Bura Darjaa Aur Kiski Fauz Kamzor
(Surah No. 19 Surah Maryaam Ayat 75)
Allah Taala ne aayat nuzool kar waada liya tha Kuffaro se k wo wakt aayga jab Kafiro tum jaan loge k kaun khasare nuksaan me hai aur Kiski Fauz Zyada takatwaar hai.
جُندًا lafz Bahot se k liye Istemaaal hota hai  wo kon the Bahot log Wo ALLAH k bheja Farishto ki baat hai jo Maidan e Badr Me Madad K liye aaye the jinka waada tha ek aur aayat dekhe.

Ayat 35 :
إِذ تَستَغيثونَ رَبَّكُم فَاستَجابَ لَكُم أَنّي مُمِدُّكُم بِأَلفٍ مِنَ المَلائِكَةِ مُردِفينَ
“Jab Tum Apne Rab Se Faryaad Karte The To Usne Tumhari Sunli Ki Main Tumhe Madad Dene Waala Hoon Hazaro Farishto Ki Kaatar Se”
(Surah 08 Surah Anfaal Ayat 09)

Upar ek Sawal tha ALLAH QAADIR hai k chahta to direct hi sab kar deta yaha FARISHTO ko darmiyan me laana aur hazaro ko bhej Badr k maidan me madad karana Musalmano ki kyu bheja ?
Point : Rab ne Farishto ko ye kyu kaha ? Kya Rab ko koi kami thi farishto ko kyu laaya ?

Allah Chahta Kaafir ghar se nikalne se phle mar jaate raat ko soye the subah koi uth naa paate mar jaate Talwaar liye the talwaar gir jaati Talwaar utha liye chala na paate
Jab ALLAh khud rakh sakta to farishto pe wo sifaat kyu bayan ki darmiyan me laaaya kafiro se ye kaha tab maloom hoga kiske madadgaar zyada takatwaar hai
Rab Taala bata raha tha k jinki madad ki aas me tum kuffaro ne jung e ladi hai yaani wo buth itne kamzor hai k Mere Bheje gaye BANDE yaani Farishto ka Mukabla nahi sakte hai aur tum un butho ko mera sharik banaye bethe ho dusra k hakiki madad to ALLAH Taala ne ki hai par Madad k mazhar apne Bando ko bheja aur banaya taaki koi ALLAH K BANDO ko MADAD gaar maan ne pe SHIRK naa bhoke Me’aar e ULOOHIYAT na banale warna bataye k Kya Jarurat aan padi jo badr me Farishte aagye ?

ALLAH TAALA Madadgaar HAI USKE BANDE BHI USKI ATA SE MADADGAAR HAI ?
Ayat 36 :
بَلِ اللَّهُ مَولاكُم ۖ وَهُوَ خَيرُ النّاصِرين
“Beshak Allah Tumhara Maula Hai aur Sabse Badkar Madadgaar Hai”
(Al Imraan Ayat 150)
Ayat 37 :
ذٰلِكَ بِأَنَّ اللَّهَ مَولَى الَّذينَ آمَنوا وَأَنَّ الكافِرينَ لا مَولىٰ لَهُم
“Yeh Isliye k Musalmano Ka Maula (Madadgaar) Allah Hai Aur Kaafiro ka Koi (Maula) Madadgaar Nahi ”
(Al Quran Surah 47 Muhammad Ayat : 11)
Pehle aayat me farmya ALLAH Sabse badkar madadgaar hai aur beshak ispe hi hum sabka akeeda hai phir dusre makam me jo bayan huwa farmaya ALLAH TAALA Musalmano ka to madadgaar hai par Kaafiro ka koi madadgaar nahi hai par Musalmano k liye kya farmaya
Ayat 38 :
ا عَلَيهِ فَإِنَّ اللَّهَ هُوَ مَولاهُ وَجِبريلُ وَصالِحُ المُؤمِنينَ ۖ وَالمَلائِكَةُ بَعدَ ذٰلِكَ ظَهيرٌ
“Beshak Allah Unka Madadgaar Hai Aur Zibril Aur Nek Momineen Madadgaar Hai”
(Al Quran Surah 66 At Tehrim Ayat : 04)
Ab Is aayat me Farmya ALLAH MADADGAAR HAI Musalmano ka Jibrail Alaihi Salam bhi aur Nek Momin bhi Madadgaar hai ek dusre k kya taabir aaygi iski ? ?
Is main Tatbee yun Qaem hogi, k ALLAH Haqeeqi madadgaar hai, Aur Jibrael AlaihSalam, aur Auliya E Karam, ALLAH TA'ALA ki Ata se madadgaar hain, jo Zaat-E-Baari TA'ALA Ata farma rahi hai, us main aur jis ko Ata kiya ja raha hai, un Hazraat main barabri ka Tassawwur bhi nahin kiya jasakta, aur jab barabri nahin to SHIRK kahaan se hoga??

Aur ye farmaya k KAFIRO Ka Koi Madadgaar Nahi hai kyu ? Pata chala k Madadgaar hona yeto ALLAH waalo k liye hai Musalmano k liye ab jin logo ne madadgaar ko hi Me’aar bana liya hai wo kon hai ?? Faisla to Quran ne kar diya ab hum kya kahe.

Conclusion : In tamam guftgu ka jo khulasa hai wo ye k Me’aar e Uloohiyat aaj awaam ko jo bataya gaya k aapne Sifaat dedi Shirk hogaya Madadgaar maan liya shirk hogya to humne ayat e Qurani se saabit kiya k Me’aar ye nahi hai ab koi shaks Madadgaar ko bataur e Dalil pesh kare to aap fauran pakadle k ye Me’aar nahi hai jo tum bayan karte ho. Subahat Wahabiyat ki Janeeb Se :
1) Aitraaz 01 : Aapne Jo Dalail Qurani Aayat Pesh ki hai is se bas ye saabit huwa k Zindo se Madad Maang Sakte Hai Murdo Se Nahi.
Al Jawab : awwal to is se saabit nahi huwa k Murdo se maanga to SHIRK hai ya zindo se maango to Tauheed.  Maangna hargiz me’aar nahi hai Kya Aap Zindo ko ALLAH ka Sharik Maante ho ?
Wo tilmila jayga yaha Chand Istelahi baat yaad rakhe kaam aaygi
i) Jo SHIRK Hai wo hamesha SHIRK HAI aisa nahi hai k Zindo k liye Tauheed ho aur Murdo k liye SHIRK hojaye ? Kya Aisa Hai ?
ii) Kisi Shaks Ne Zinda ko Mabood banaya Wo Mushrik hai SHIRK huwa Kisi shaks ne Murde ko maabood bnaya Wo Bhi Mushrik huwa kyu kyki Shirk hone me ZInda aur murda ye paimana hai hi nahi.

02) Tum ALLAH ko Chod k Gairullah ko Pukarte ho Lihaja Shirk Paaya Gaya ?
Al Jawab : Shirk hai to kyu ? Aur Kis Tarah Ka Shirk Hai ? Kis Category me jaayga ? Tumhare bol dene se shirk nahi hota hai. Kya Pukardene se shirk hojata hai ?
Pehle Tum Ye Decide Karo Gairullah me Zinde aur murde ki kaid hai ya dono gairullah hai ya dono alag hai ?
Allah Taala K Elawa Tamam Makhlook jisko wajood baksha hai chahye Ambiya Alaihsalam ho Auliya ho Jinn Farishte Insaan haiwanat al garz har cheez ka shumar gairullah me hota hai. To Gairullah ko tum bhi pukarte ho tum khud mushrik huwe ho.
Lihaja Pukarnaa to shirk naa huwa PUJNA shirk hota hai PUKARNA AUR PUJNA Dono me fark hai Aur Pukarne se banda mushrik hota to daily insaan kisi na kisi ko pukarta hai woto sab gaye phir. Ye Chand baatein hai jo Spoon ki trah saamne rakhi hai jab bhi in khabiso se bahes ho usool k mutabik samjhaye ye baat jab bahes hoti hai to wo karte hai lihaja isliye bayan kar diya awaal to awaam ko bahes karna nahi chahye kyuki uske liye bahot ilm chahye agar kabhi aise naubaat aajaye koi khabees saamne mil jaaye bahes baaji karte to usoolan step wise samjhaye wo lajawab hojayga IN SHA ALLAH Taala
Part 04 - Wo Hadees e Paak Jo Sahaba k Saamne Quran Pesh Karte The
Ab yaha Wo Hadees E Paak Jiska Pehli Post me Zikr kiya Tha Ab wo likh raha hu Hadees E paak Padhna aur Phir Dekho SAZRA E NASAB milta kaha se hai inka jo aaj ummat ko gumraah kar rahe hai hadees padho aur aaj k khwarijeen ko dekho sab saamne dikh jaayga.
Hazrat Abdullah ibn Jaabir Radi Allaho Anho Ka Khwarijeen Se Bahes O Mubahisa Jarur Padhna aur Dekho -
Hadees :
Hazrat Yazid Al Faqir Kehte Hai Mujhe Kharjiat k Nazariat Pasand Aagye Mai Kharji Hogaya Tha. Hum Jamaat Ki Shakl Me Hajj K Liye Nikle Phir Waha Se Logo Ko Kharjiat Ki Tableeg karne Chal Pade.
Unhone Kaha Hum Madina se Gujre Aur Dekha Hazrat Jabir Bin Abdullah Logo ko Masjid E Nabvi صلى الله عليه و آله وسلم Me Hadees e Rasool صلى الله عليه و آله وسلم Ka Dars De Rahe The.
Jab Unhone Jahannam Ka Zikr Kiya Aur Kaha Nabi Chullu Bharenge Aur Logo Ko Jahannam Se Leke Jannat Me Le Jaaynge. (Yaani Shafat E Rasool Ka Bayan)
Maine Kaha Aye Sahabi e Rasool ye Tum Kya Bayan Kar Rahe Ho ?
Jabki Quran Me Allah Farmata Hai
“Aye Rab Hamare Beshak Jise Tu Dozakh Me Le Jaaye Use Jarur Tune Ruswayi Di Aur Jaalimo ka Koi Madadgaar Nahi
(Surah Al Imraan Ayat 192)
Phir Ek Aur Aayat Padhi
“Rahe Wo Jo Behukm Hain Unka Theekana Aag Hai, Jab Kabhi Usme (Jahannam) Se Nikalna Chahenge Phir Usi Me Gira Diye Jaynge -
(Surah Sajdaah Ayat 20)”
Quran ye Kehte aur Tum Kya Kehte Ho ?
Hum Tumhari Maane Ya Quran Ko Maane ?
Jabir bin Abdullah Radi Allaho ne Farmaya itminaan se pucha Kya Tumne Quran padha Hai ?
Yazid Al Faqir Kehte Hai Haa Humne Padhi Hai Quran (Bahot Josh me Aake Kaha)
Jabir bin Abdullah ne Farmaya Kya Tumne Usme MAKAM E MEHMOOD K baare Me Kuch Padha hai ?
{*// “Karib Hai Ki Tumhe Tumhara Rab Aisi Jagah Khada Karen Jahan Sab Tumhari Hamd Kare” (Surah Bani Israel/Isra Ayat 79) }
Yazid Al Faqir Kehte hai HAA Humne Padha Hai.
Jabir bin Abdullah Farmate Hai Padha Hai To Bas Aise Hi Padha Hai. Aage Farmate Hai Makam E Mehmood Wo Makam Hai Jo Allah Ne Apne Mehboob صلى الله عليه و آله وسلم Ko Ata Kiya Hai Jisko Chahenge Jahannam Se Aazad Kara denge.
Phir Uske baad Ek Pool (Bridge) Ka Zirk Kiya Jiske Upar Se Log Guzrenge Aur Kaha Mujhe Aur Zyada Yaad Nahi lekin itna mere jahen me hai log Jahannam se Nikale jaynge aur kaha is tarah syaah (kaale) honge (yaani Jahannam ki aag se jalke).
Phir Unhe Jannat Ki Naher me daala Jayga waha se jab niklenge bilkul Safed Kagaz (White Ppr) ki trah hojaynge.
Yazeed Al Fakeer Kehte Hai Unki Guftgu Sun ne K baad Phir Hum Waha Se Nikle Aur Apne Ustado k Pass pahuche unhone Humse Sabab Pucha Lautne Ka.
Saara Mazra Bayan Kiya Wo Hum Pe Naraz Huwe
Phir Maine Kaha Dil Nahi Maanta k Aise Noorani Chehre Waala Bhi Jhut Bol Sakta Hai Aur  Hum Sabne Khwarijat Se Tauba Karli Jo Jo Gaye The Siwaye Ek k.  
References :
(Sahi Muslim Vol : 01, Kitabul Imaan  Hadees : 191, ‘English : Book 01, Hadees : 381, 371’)   
(Imam Abu Naoem Al Hilyatul Awliya)

Is Hadees Pe Ab Kuch Lamha E Fiqriya Guftgu Bahot se log padh k gujar jaate hai par samajhte nahi hai lihaja iska khulasa jaruri hai.
1) ADAB E MADINA SHARIF NAHI :  Kya Kaha Madeene Se Gujar Gaye matlab kya huwa Tazeem nahi thi dil nahi tha bas achanak se Gujar gye aur Masjid E Nabvi pahuch gye dekho aaj ka munafik khwarij bhi yehi kahta hai dil me azmat nahi hoti bas pahuch gye Ek Gulam Hota hai jo MADEENA SHARIF jaane k liye tadapta hai k kaash MADINA ME HI ZINDGI GUJAR JAAYE Aur Ek ye hai bas ghumte phirte pahuch gaye pata chala ye Makamat(Places) Ki Tazeem o Taukeer nahi hoti dekho aaj ka khwarij ko wo bhi yehi karta hai.
2) SAHABI E RASOOL صلى الله عليه و آله وسلم K SAAMNE QURAN SUNA RAHE HAI :  Ye The Sahaba K Jamane K Young Generation Khud apna haalat Bayan kar rhe hai k wo Kharji hogaye the unke Haath Me Kya Tha ?  
Haath Me Kya Tha Quran Jaban PE Aayat E Ilahi Tha
QURAN aayat Padhne lage kiske aage Sahabi E RASOOl صلى الله عليه و آله وسلم, Hazrat Abdullah ibn Jaabir Radi Allaho Anho k saamne wo jinhone QURAN kinse padha Nabi E KARIM صلى الله عليه و آله وسلم se unko QURAN sunane lage.
3) JARURI NAHI HAR QURAN KI AAYAT PADHNE WAALA HAWALE DENE WAALA SACCHA HO :  aaj Ye bhi fitna failaya jaa raha hai k dekho hum QURAN ki aayat pesh karte hai aur tum hume bura bolte ho ab andaza lagao Musalmano dekho SAHABA k aage bhi SAHI aayat padhi gayi Sahi Hawale wo bhi QURAN hi se de raha tha na par Us aayat se Aqeeda aur Matlab galat bayan kiya jaa raha tha.
4) HAR QURAN KI AAYAT SUNANE WAALA HAQ PE NAHI HAI : Dekho ab kaha se Sazra Mila Hai nazdiyo kaa aaj jis Musalmaan k aage koi QURAN padhte QURAN ki aayat sunade wo soch aur fiqr me padh jaata hai k ab kya karu QURAN ki aayat pesh ki jaari hai.
Dekho QURAN padha jaa raha hai kiske aage aaj k aam Musalmano k aage nahi balki 1400 Saal pahle wo Bhi Sahabi k aage waha bhi logo ne isi tarah QURAN padhi hai.
5)Hazrat Abdullah ibn Jaabir Radi Allaho Anho Dars Kya De Rahe The  ? : Huzoor Nabi  E KARIM صلى الله عليه و آله وسلم ki SHAFAT kaa AAKA KARIM صلى الله عليه و آله وسلم ki Shan o Azmat Ka Huzoor صلى الله عليه و آله وسلم Ki Hazaat Rawayi Ka Jahannam se Aazad karana kitni badi Hazaat Rawayi Dastagiri hai Huzoor صلى الله عليه و آله وسلم K FAIDE KA Inkaar kisne kiya ?
Khwarijeen ne pata chala Nasl Kaha se aayi hai ? Nishaniyaa aaj bhi mauzood hai.
6) QURAN KI AAYAT SAHI ISTEDLAAL GALAT BAYAN KARNA :  Khwarijeen ne Kya Kiya Raddh karne lage nahi nahi aisa kuch nahi hai aur daleel kin cheezo se de rahe the QURAN se , To pata chala Har QURAN ki baat bolne waala QURAN ki Sahi aayat padhne waala Jaruri nahi Aqeeda bhi sahi bayan karde. QURAN ko koi nahi bigaad sakta balki QURAN ki aayat k maane ko uske maksad ko badal ke Sahaba k aage padhte the khwarijeen.
7)KUFFARO WAALI AAYAT KO CHISPAN MUSALMANO PE KIYA :  Aayat konsi padhi wo aayat jinka Talluk Kafiro se tha aur us aayat se raddh kar rhe kiska Huzoor Nabi  E KARIM k Faide ka to jo KAFIRO K talluk se aayi thi aayat k wo Jahannam se nikalna chahenge dobara palta diye jaaynge unko koi nahi bacha sakta us aayat ko chispaan kiya Musalmano pe balki Musalmano k Liye SHAFAT E NABI صلى الله عليه و آله وسلم hai.
Pata Chala KAFIRO Ki AAYAT MUSALMANO PE CHISPAAN kar dena ye koi aaj ki baat nahi SAHABA k saamne bhi ye Khwarijeen k shakl me the NISHANI aaj bhi bas Naam aur Chehre badadlte hai.
8) QURAN K LIYE KABHI KABHI CHEHRE BHI DEKHNE HOTE HAI: Pata chala k Hazrat yazid jo kuch kharji the tauba ki aur Musalman huwe aur kya kaha k CHEHRE dekho aisa noorani chehra jhut nahi bol sakta ab dekho to sahi aaj unke Ulma k Manhoos chehre ko dekho hamare akabireen k chehre ko pata chal jaayga kon Saccha hai kon jhuta hai.
9) HAR QURAN PADHNE WAALA QURAN SAMAJH LE JARURI NAHI : ye bhi masla maloom huwa har insaan jo Quran padhe jaruri nahi k usko Quran fehmi bhi ho yakinan QURAN ko sikhna hai Samajhna hai to tareek pe sikho Jo Manhaj Sahaba ka Auliya Fukaha Sufiya ka hai agar Khwarijio k nazariat se padhoge is tarah aayat talash karoge ye nahi kar sakte wo nahi pata ye nahi pata to QURAN to padhloge par wo tumhe kaam nahi aaygi Jahannam me jaoge.

Kitne sawalo ka jawab hai is hadees me hosakta hai aksariat majority awaam ne kabhi ye hadees naa suni ho na padhi ho aur unke jalso me to ye bayan hi nahi hogi Hadees kis kitab me hai jiska raat din naam lete MUSLIM Sharif kyu nahi batate ye hadees jaante hai unke sazre khul jaaynge.
Part 05 - Jo Shirk Naa Tha Usko Bhi Shirk Declare Kiya Wahabiyo Ka Kabool Naama
Ulma e devband Ashraf Ali Thanvi Ki Kalam se Khud Ismail Dahelvi Ka Kabool Nama k Taqviyatul Imaan me Usne Khayanat ki Hai likhte hai
“Mai Jaanta Hoon Isme Baaj Jagah Jara Tez Alfaaz Aagaye Hai aur Baaj Jagah Tassadud Bhi Aagaye hai  Maslan Un Umur Ko Jo Shirk e Khafi The Shirk E Jali Likh Diya Gaya.
In Wajoo Se Mujhe Andesha Hai k iski ishaat se Shoras jaroor hogi agar mai yaha rehta to is mazameen ko 8 10 baras me bayan karta lekin is wakt mera irada hajj ka hai aur waha se wapse k baad jihad ka hai aur isliye mai is kaam se maazor hogaya hai aur dusra is bhaar ko uthayga nahi isliye maine ye kitab likh di hai magar tawakko hai k log lad bhid k thek hojaynge ”
(Hikayatul Auliya / Arwaah E Salasa Pg : 74 By Ashraf Ali Thanvi)
Ye Angrezi Agent Ismail Dahelvi k jumle likha hai Thanvi ne likha Kitab Takviyatul Imaan k baare me khud kabool kiya hai Ismail ne k maine is kitab me khayanat ki hai wo umoor jo shirk nahi the usko bhi shirk likha lafz itne tez likhe istemal kiye k log ladenge khud bol rha hai kabool khud kar liya k ladai hogi magar phir bhi print kar diya aur kehte log ladenge Musalman is kitab ko maanenge nahi jhagde honge aapas me par ummid hai ummid hai log ladenge phir sab thek hojayga ye koi chota jurm hai jo Shirk nahi usko shirk bolo aur sabko kaafir boldo.
Andaaza lgao us daur me angrezo ki sazish kya thi Musalmano ko aapas me ladana tha tum hi ne unke makasid ko pura kiya aur fatwa khud galat diya khud kabool kiya jurm tumne kiya aur ilzaam musalmano pe laga rhe ho. MUNAFIK E JAMANA
Ulma E WAHABI AHLE HADEES KA KABOOL NAMA
Imam E Wahabiya Al Hind Wahiduzama likhta hai
“Hamare Baaj Bhaiyo Ne Masla E Shirk k Andar Badi Shiddat Ekteyaar Ki Aur Islaam K Dayre Ko Mehdood Kar Diya”
(Hadiyatul Mehdi Pg : 26 by Gair Mukkalid Nawab Wahiduzama)
Tumhara baap khud kabool kar rha hai k humne khurrafat ki jhut tauheed bayan ki masla e shirk me khayanat dikhayi aur Islam ko mehdood kar diya kayamat tak iska jawab nhi denge haa baap badal jaynge inke bolenge hum nhi maante isko Saudi Arab se Urdu Bukhari ka Tarjuma kiska print hota hai wo yehi baap hai tumhara.
Pata chala Ummat ne Jurm Nahi kiya balki Tumne Galti ki galat fatwa likha galat kitab likhi aur Ummat ne Nabi Ko ALLAH WALI KO NAbi nahi banaya balki Tumne khud ALLAH ki shaan ko bande se milane ki koshish ki kar nahi sakte par aaj pure unke awaara bete isi me lage hai k kis trah logo ko mushrik banaye.
Subahat : ye Tamam k baad bhi wo hatt dharmi dikhaynge aur Quran e Karim ki kuch aayat pesh karnge jaise mafoom Jinko tum ALLAH ko chodke pukarte ho  pujte ho etc  ye unwaan aur is se related aayat unki kya tafseer hai uska maane kya hai PUKARNA PUJNA kaha kis meaning me aata hai ye sab mai tafseer k saath  hadees k saath kist dar kist post karunga aur phir baad az Wisaal Ambiya Aulia se madad maangne pe kya kya dalail hai sab post aayngi IN SHA ALLAH Taala bas apni bunyaadi foundation mazboot rakho ALLAH waalo se nazdiki jodo kabhi koi mugalta nahi aayga. Keep Remembrance at your Remember Sher Ali Hanfi

46 comments:

  1. As salamalekum

    bhai isme jo Refrence diya hai aapne sahi muslim ka kitab ul iman hadees 191...mere pass urdu tarjumah hai sahi muslim ka par usme hadees no.191 par yeh hadees maujud nahi hai...kya aap mujhe iska refrence de sakte hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walekumusalam :
      bhaijan Wahabio Ne hadeeso k Version me kaafi changes kiye huwe hai
      Is wajah se kaafir referene aage piche hote hai jo mil nahi paata

      Kuch Kitabo me ye Number 420 Hai kuch me 422 aur Online me 191 hai
      ye uska sahi Muslim Ka Link http://sunnah.com/muslim/1/381
      Aur Abu Naoeem ne Hilya Me Jo Last Line hai wo bhi likha hai

      Delete
    2. Asslamualaikum bhai, ye btaye ye sunnah.com wali site pr hadees ke tarjume wahabiyo ke kiye hue hai ya hmare ahle sunnah maslake ala hazrat walo ke?

      Delete
    3. Adua huwal ibadaah (duahi ibadad hain.).... quran agr kisi maklook se likhaya ja tha toh usme boht iktelaaf hota lekin Quran majid Allah ki kitaab hain....isme koi iktelaaf nhi iski ayat ek dusre se takra nhi sakti..... jab Allah ne surah fatih me kaha hai Aye Allah hum sirf teri ibadaat karte hain or madad ke liye sirf tujhi ko pukarte hain.....toh abh koyi dusri ayat me gairullah se madad mangna jaiz kaise hong🤔.... agr jaiz hain toh phir surah fatiha ka kya🤔.... beshaq quran majod me koyi ikhtelaaf nhi.......🙌 or zaruri baat ehle sunnat ka koyi aisa aqeeda nhi🤣🤣..... ye aqeeda ahle bida'at wal fasaad ka hain🤣🤣..... engineer ali mirza ne achhe hunter lage hain barelvio ku🌟..... quran me milta hain jibreal a.s bhi aap s.a.w ke madadgaar hain or nek momin bhi madad gaar hainn...lekin kya aap s.a.w ne kabhi kaha ya jibral al madad ... ya nek log al madad🤣🤣🤣🤣..... ilm ki kaami ...🥺.... yeh jagda hi nhi hain ke ikhtiyar hain ya nhi... jaghda ye hain agr ikhtiyaar ho bhi toh unko madad ke liye nhi pukaarsakte...... wo hayi haazir qaadir ka ilm lelo free hain .... aye Allah pukarna dua karna or shoes ki less bhi chahiye ho toh sirf tujhse hi maangne ki taufik Ata farma...ameen ❤..... 🌏⚔TAUHID🇸🇦🇸🇦🇸🇦🙌

      Delete
    4. Inke pet me aag aur dimagh me bidaati kachra bhara parha hai haq bolo toh Wahabi tonde ghustaq e Rasool kahne pe aamada hote hain bas ... Allah hidayath de inko ...

      Delete
    5. #gametooner
      Pehli baat huzoor Sallalahu Alaihi Wasallam ko kya zarurat ke woh jibreel e amin se madad maange? Tujhe itna nahi pata ke martaba kinka buland hai?
      Agar gairullah se madad mangna shirk hai toh Quran hai tere saamne dikha de kidhar likha hai gairullah se madad mangna shirk hai? Aur haa Mindunillah waali ayat kaam naa ayegi yaha kyu k Mindunillah ka muraad buto’on se hai naa ke gairullah se.

      Delete
    6. https://al-hadees.com/muslim/473#0

      Delete
  2. agar ho sake to bab bata dijiye kaunsa hai mein dundhne ki koshish karunga

    ReplyDelete
  3. Sahi Muslim Urdu, Page 201, Hadees no. 472

    ReplyDelete
  4. Ye sirf copy pest kar sakte he hawala nahi nauzubillah apna aqida sahi sabit karne ke liye inhe hadees ki bhi nafarmani karne pre to inhe koi prwa nahi he

    ReplyDelete
    Replies
    1. sacche hopte ek bhi post ka tehkeeki jawab dete par haal ye hai k ocomment maarke dil ko tassali aulaad e nazd

      Delete
  5. mashaallah allah is nek kam ka ajre azeem ata farmaaye

    ReplyDelete
  6. ماشاء اللہ بہت اچھی پوسٹ ہے آپ کی. ان شاء اللہ اہل حق اس سے استفادہ کریں گے.

    ReplyDelete
  7. Ma Shaa Allah Bhai Jan great work and keep it up

    ReplyDelete
  8. Mashallah kaafi acchi cheeze post kiye ho aapne Allah in baato ko yaad rkhe ise dusro Tak pohchaane ki taufeeq de ..ameen

    ReplyDelete
  9. ISME EK IBARAT HE JISME SHRK E KHAFI OR SHIRK E JALI KA MASLA HE...
    OR IS ORGANIZATION WALO NE KHUD KHAYANAT KAR KE JAWAB LIKHA HE KE JO SHIRK NAHI USEY BHI SHIRK LIKH DIYA...JABKI WAHA IBARAT SHIRK HI LIKHA HE SIRF KHAFI OR JALI KA FARQ HE

    ReplyDelete
  10. ​Shirk ki surtein aur aqsaam

    Shirk ki 2 qisme akbar aur asghar ke ilawa har do ki 2-2 mazeed qisme banti hai, jisko zel ki tarteeb main samajha ja sakta hai:

    “Shirk” ki 2 qisme Hain:

    1) shirk e akbar (bada shirk)

    2) shirk e asghar (chota shirk)

    Shirk e akbar ki 2 qisme Hain:

    Pheli qism:

    Shirk e akbar jali:

    (zaahir aur a’ayan shirk)

    Misal : buton aur murtion ki Ibadat, ahle qaboor aur murdon se madat talab karna, uske samne hath failana, apni muraadein rakhna, unke liye sir jhukana waigaira

    Dusri qism:

    Shirk akbar khafi (Poshida, bateen main chupa hua shirk)

    Misal : Allah ko chod kar Apne mashaykh, buzurgan aur aulia par bharosa karna, ya mukhtalif ma’aboodon se qalbi rista istawar rakhna, ya Munafiqon sa shirk karna ke zaahir main Islam ka izhar aur batin main shirk ka irtikab karte the. Is taur par ye jumla garche “shirk e khafi” ke ziman main aate hain, ta’hum inhe “shirk akbar” main shumar kiya gaya hai. Islye ke natija aur anjaam ke aitebar se yeh shirk e jali ke barabar hai. Allah ki panah!


    2)shirk e asghar (chota shirk):

    Mahfum woh shirkiya amal jo shirk akbar ka wasila bunte hon ya iski raah humwar karte hon.

    Shirk asghar ki 2 qisme hain:

    Pheli qism : Shirk e asghar jali (zaahir aur a’ayan shirk)

    Misal : kalayi par baale, kade aur dhagon se bani jaisi koi chiz pehenna, tawiz latkana, gairullah ki qasmein khana waigaira.

    In tamam amal main gaur kare toh malum hoga ke ye Allah Rabbul A’alameen aur bande ke darmiyan jo khalis a’etemad aur yaqeen ka rishta hai use khatam karne aur kamzor karne wale hai.

    Aur issi daggar par chalte hue ek din woh Allah Rabbul A’alameen ki zaat se apna kulli a’etemad aur a’eteqad kho bhait ta hai. Aur uske dil o dimag par uske hathon se banaye gaye ma’aboodon ki hukmat chalti hai. Kal tak woh “tawiz, gande aur is qabeel ki ashiyan ko batuar wasila ikhtiyar karte the aur apne nafa o nuqsaan main taseeri Quat ka malik samajte. Lekin ek mudat ke baad ab tawiz aur gande dene wale ne pure taur par iski jaga le li, aur nafa o nuqsaan ka tasawur kiye jane lage. Ab in murda babayon, aur tawizi moulwiyon ka qasd Insaan tawiz gande ke liye nahi karta balke ab baraherast iske samne apni hajat rakhta hai aur basa auqaat ise hi apni Jannat aur jahanum ka malik bhi tasawur karta hai. (mazkura misaal se samjha ja sakta hai ke ek insaan shirk e asghar se shirk e akbar ka murtakib ban jata Hai, aur shirk e asghar se shirk e Akbar ka rista kaisa hai, iske darmiyan ke fasley kitne hai aur kaise wasila ke taur par ikhtiyar kiya gaya koi amal asal ki jaga le leta hai)

    Dusri qism ; shirk e asghar khafi (batin ya poshida shirk)

    Misal : riya namud aur dikhawe ke liye koi bhi kaam anjaam dena.

    Ulama karaam ne shirk e asghar khafi,yani (riya) ki bhi 2 qisme bayan ki hai.

    Pheli qism :

    Munafiqo jaisa riya aur namud : jaisa ke Allah Rabbul izzat iske is riya ko fazihat bayan karte hue farmata hai :

    ٰ يُرَاءُونَ النَّاسَ وَلَا يَذْكُرُونَ اللَّهَ إِلَّا قَلِيلًا

    “woh log (munfiqeen ki jamat) logon ko dikhane ke liye karte hai aur Allah ko bahut kam hi yaad karte hai”
    (Surah nisa 142)


    Munfiqeen ke riya ke qabeel se baaz Muslim bhaiyon ki bhi Ibadat hoti hai jo apni namaz main tasn’a aur takaluf se kaam lete hai. Inka irada ye hota hai ke log iski janib mutawaja hoge.

    Dusri qism : shirk e asghar khafi ki ye dusri qism unlogon ke liye banti hai ko tareef pasand hote hai. Aur har lamha dusro ki zaban se inhe apni achayia aur kaar kardgiyan sunna acha lagta hai. Aur issi tarah kisi bhi kaam shorat aur dikhawe ke taur par hi anjaam dena chahate hai. Ab jahan par inhe media ya awami nazron ka “coverage” nahi mil raha hota wahan “phooti koudi” bhi kharch karne se baaz rehte hai.

    Khamosh qalm

    Note : Mazkura post Fazeelat us Shaykh Saleh bin Abdul azeez bin Muhammad ale Shaykh حفظه الله ki kitab “At-Tamheed li Sharah Kitab ut-tawheed allazee huwa haqqullah ala al-ibaad” se mustafeed (liya Gaya) Hai.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Ye teri maa ne qisme ki hongii quran ki nas ya sahi tafseer se sabit krr aur sahi hadees

      Delete
    2. Apne matlab nikale huwe tum ne quran ke us ne bilkul sahi bataya Quran akal walo ke liye hai samjho apni ana ko samne na rakho warna jahil keh lao ge ek firqe mei mat raho ghumoo har firqr mei sb ko suno firqo mei paro ge to sureh anam ayat 159 parh lena quran mei apne maslak ki bhi tafseer ho beshak Allah ham sb ko hidayat ke raste mei chalne ki toofeeq de or Apne rasool hazrat MUHAMMAD MUSTAFA S.A.W ki sunnato mei amal karne wala bana Ameen❤️

      Delete

  11. SHIRK KI QISME:

    1) Shirk-E-Akbar
    2) Shirk-E-Asgar.

    1) SHIRK-E-AKBAR:
    Jo bande ko daira e islam (islam ke daire) se nikaal deyta hai aur usko hamesha hamesha ke liye jahannum pahuncha deyta hai, ye us surat mein hai jab wo shirk hi par mara ho aur tawba ki tawfeeq na mili ho, shirk-e-akbar ka matlab hai koi ibadat gairullah ke liye aada ki jaye, jaise gairullah se dua karna, gairullah ka taqarrub hasil karne ke liye us ki baargaah mein qurbani karna, nazr o niyaaz chadhana. Gairullah ke zimn mein maqabir o mazaraat, jinnaat aur shayateen sab aa jate hai, is tarha mare huwe logon se khauf khana ke wo aise takleef na pahuncha dey, us ko bimari mein mubtala na kar dey aur gairullah se aisi umeed wabasta rakhna jis par sirf Allah qudrat rakhta hai masalan hajat puri karna, museebat door karna, is tarha ke shirk ki mashq aaj kal auliya aur buzurgon ki pukhta qabron par khoob ho rahi hai, is cheez ki taraf ishara farmate huwe Allah Ta'ala ney farmaya:
    وَيَعْبُدُونَ مِن دُونِ اللَّهِ مَا لَا يَضُرُّهُمْ وَلَا يَنفَعُهُمْ وَيَقُولُونَ هَٰؤُلَاءِ شُفَعَاؤُنَا عِندَ اللَّهِ ۚ
    "Aur ye loug Allah ke siwa aisi chizon ki parastish karte hain jo inka na kuch bigaad sakti hai aur na kuch bhala hi kar sakti hai aur kehte hain ke ye Allah ke paas humaari shifarish karne waley hai." [Yunus: 18]

    2) SHIRK-E-ASGAR:
    Jisse banda daira e islam se kharij tou nahi hota lekin us ki tawheed mein kami aajati hai, ye shirk-e-akbar ka ek zariye hai, is ki do qisme hain:

    ●SHIRK-E-JALI
    Shirk-e-jali se muraad shirkiya alfaaz aur af’aal hain, shirkiya alfaaz ki misaal gairullah ki qasam khana hai.
    Rasoolullah (ﷺ) ka irshaad hai: "Jisne gairullah ki qasam khayi usne kufr kiya ya shirk kiya." [Tirmidhi: 1535]

    Aur Aap (ﷺ) ka us shaksh se ye farmana jisne kaha tha ke “agar Allah Ta'ala aur aap ney chahen,” kya tumne mujhe Allah Ta'ala ka madd e muqabil bana diya? kaho aagar Allah akeley ney chaha." (Nasai)

    Isi tarha kisi ka ye kehna "agar Allah aur falan na hota" jab ke sahih ye hai ke jaise Allah Ta'ala ney chaha phir falan shaksh ney, is liye ke lafz (summa) waqfah (taraakhi) ke liye aata hai, jis se ye mafhooom khud ba khud paida ho jaata hai ke bande ki mashiyyat Allah Ta'ala ki mashiyyat ke taabe’ hai.

    Irshaad-E-Ilahi hai:
    وَمَا تَشَاءُونَ إِلَّا أَن يَشَاءَ اللَّهُ رَبُّ الْعَالَمِينَ
    "Aur tum kuch bhi nahi chaah sakte magar wahi jo Allah Rabb ul Aalameen chaahe." [At'Takwir 29]

    Jab ke harf e waow (و) mutlaq jama’ aur ishtiraak ke liye aata hai, jis se tarteeb o ta’qeeb ka mafhoom paida nahi hota, jaise kisi se kahan jaye: "Mere liye tou bas Allah aur tum ho" aur "Ye Allah aur tumhari barkat ke tufeel hai" wagaira...

    Shirkiya aamaal jaise kadey pehanna, museebaton ko door karne ke liye dhage bandhna, nazr-e-bad se bachne ke liye taweez bandhna wagaira, in aamaal ke sath jab ye aaqidah ho ke inke zariye museebatein aur pareshaniya door hoti hain, balaayen talti hain tou ye shirk-e-asgar hai, is liye ke Allah Ta'ala ney in chizon ko in maqasid ke zariye nahi banaya, lekin aagar kisi shaksh ka ye aiteqaad ho ke ye chizein bazaat-e-kudh bala aur museebat door karti hai tou ye shirk-e-akbar hai, is liye ke is mein gairullah ke sath aisa talluq aur raabte ka izhaar ho raha hai jo sirf Allah Ta'ala ke liye khaas hai.

    ReplyDelete
    Replies
    1. तू वाहाबई है क्या बे
      जहनामी कुत्ता

      Delete
  12. Shirk-E-Khafi
    Ye iradon aur niyaton ka shirk hai, jaise riyakari aur shohrat-aawri wagaira, yani Allah Ta'ala se taqarrub waley aamaal is liye kiye jayen ke loug us ki tareef karen, masalan koi shaksh achchi namaz sirf is liye padhta hai ya sadqa wa khairaat sirf is liye karta hai ke loug us ki tareef karen, zikr o azkaar aur tilawat sirf is liye karta hai ke loug sune aur us ki khoob tareef karen, kisi bhi aamal mein jab riyakari aajati hai tou wo amal batil ho jaata hai, Allah Ta'ala farmata hai:
    فَمَن كَانَ يَرْجُو لِقَاءَ رَبِّهِ فَلْيَعْمَلْ عَمَلًا صَالِحًا وَلَا يُشْرِكْ بِعِبَادَةِ رَبِّهِ أَحَدًا
    "Jo koi apne Rabb ki mulaqaat ki ummed rakhta hai to laazim hai ki woh nek amal kare aur apne parwardigaar ki ibadat mein kisi ko shareek na banaye." [Al'Kahaf: 110]

    Nabi-e-Kareem (ﷺ) ka irshaad hai:
    "Tumhare mutalliq sab se ziyada dar mujhe shirk-e-asgar ka hai, lougon ney arz kiya: "Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! shirk-e-asgar se kya muraad hai?" Aap (ﷺ) ney farmaya: "Riyakari" [Musnad Ahmed: 428/5. Hafiz Ibne Hajar (Rahimahullah) ney is ki sanad ko Hasan [Bulugh ul Maram, safa 302] jab ke Imam Munziri (Rahimahullah) ney jayyid kaha hai [At'Targheeb: 69/1]]

    Isi tarha duniyawi lalach mein koi deeni aamal sar-anjaam deyna bhi shirk-e-khafi hai, jaise koi shaksh sirf maal o daulat ke liye Hajj karta ho, aazaan deyta ho ya lougon ki imamat karwata ho, uloom-e-shar’iyyah hasil karta ho ya jihaad fee sabeelillah karta ho, aise lougon ke silsile mein Rasoolullah (ﷺ) ney farmaya:
    "Halaak ho dinaar ka banda, halaak ho dirham ka banda, halaak ho kapde ka banda halaak ho kali chadar ka banda, halaak ho makhmali chadar ka banda, aagar usey diya jaata hai tou khush hota hai aur aagar nahi diya jaata hai tou na khush rehta hai." [Bukhaari: 2886]

    Allama Ibn e Qayyim (Rahimahullah) farmate hain: "Iradon aur niyyaton ka shirk tou aisa bahr e zakhkhaar (samandar) hai ke jis ka koi kinara nahi aur bohat kam loug is se bach paatey hain"

    Lehaza jis shaksh ney apne aamal se Allah ki razamandi ke alawa kisi dusri cheez ka irada kiya ya Allah Ta'ala se taqarrub ke alawa kisi aur cheez ki niyat ko aur gairullah se us aamal ki jaza (badle) ki darkhawst ki tou wo niyat aur irade ka shirk hai.

    ●Ikhlaas:
    Ikhlaas ka matlab hai ke apne tamaam aamaal, af’aal, iraade aur niyat mein sirf Allah Ta'ala hi ki zaat ko khalis kiya jaye, yehi cheez haneefiyyat yani Hazrat Ibraheem (Aalaihis Salaam) ki millat hai, jis ko ikhtiyaar karne ka hukm Allah Ta'ala ney apne har bande ko diya hai, is liye ke is ke alawa koi dusri cheez Allah Ta'ala ke yahan maqbool nahi, yehi haneefiyyat islam ki haqiqat hai.

    Irshaad-E-Rabbani hai:
    وَمَن يَبْتَغِ غَيْرَ الْإِسْلَامِ دِينًا فَلَن يُقْبَلَ مِنْهُ وَهُوَ فِي الْآخِرَةِ مِنَ الْخَاسِرِينَ
    "Aur jo shaksh islam ke siva kisi aur deen ka talib hoga wo us se hargiz qubool nahi kiya jayega aur aisa shaksh aakhirat mein nuqsaan utthane waalon mein hoga." [Al Imran: 85]

    ●Shirk-E-Akbar Aur Asgar Mein Farq:
    Mazkora baala (upar zikr ki gayi) baaton se ye cheezein saaf taur par wazeh hogayi ke shirk-e-akbar aur shirk-e-asgar ke darmiyan bada farq hai, jaise:
    Shirk-e-akbar se ek musalmaan millat-e-islam se kharij ho jaata hai aur shirk-e-asgar se millat-e-islam se kharij nahi hota, agar wo jahannum mein gaya bhi tou ziyada din nahi rakhkha jayega.. Shirk-e-akbar tamaam aamaal ko khatm kar deyta hai aur shirk-e-asgar tamaam aamaal kl barbaad nahi karta... Shirk-e-akbar mushrik ke maal o daulat ko mubah (jaaiz) qaraar deyta hai jab ke shirk-e-asgar mein aisa nahi hai..

    [Taken From: Kitab-ut-Tawheed By Shaikh Saleh Al-Fawzan Hafizahullah, Urdu Tarjumah, Published By: Daar ul Undlus, Page No- 33-38]

    ReplyDelete
  13. ap sirf muje is sawal k jawab da sakta ho k Gairullah Se Madad Maangna shirk hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. GAIR ALLAH SE MADAD MANGNA KAISA ?

      1 Allah Kareem ka Naiki k kamon main aik dosray ki madad karnay k hukum dayna

      AUR NAIKI AUR PARHAIZGARI PAR AIK DOSRAY KI MADAD KARO AUR GUNAH AUR ZIADTI PAR BAHAM
      MADAD NA DO.
      Sura e Maida-2, Para 2, Kanzul Imaan

      2 Ghair Allah say madad mangnay ka hukum

      AUR SABAR AUR NAMAZ SAY MADAD CHAHO.
      Sura e Baqarah-45, Para 1, Kanzul Imaan

      3 Nabi ka Ghair Allah ki madad k husool k liye Allah ki bargah main arz karna.

      AUR MERAY LIYE MERAY GHAR WALON MAIN SAY AIK WAZEER KARDAY, WOH KAUN MERA BHAI,
      HAROON, IS SAY MERI KAMAR MAZBOOT KAR.
      Sura e Ta Ha-29,30,31, Kanzul Imaan

      4 Allah Taala ka khud Anbia e Kiram ko madad karnay ka hukum

      TO TUM ZAROOR USPAR IMAAN LANA AUR ZAROOR USKI MADAD KARNA
      Sura e Aal e Imran-81, Kanzul Imaan

      5 Allah Taala ka Ghair Allah ko madadgaar farmana

      TO BESHAK ALLAH UNKA MADADGAAR HAY AUR JIBRAEL AUR NAIK IMAAN WALAY AUR USKAY BAAD
      FARISHTAY MADAD PAR HAIN

      6 Nabi ka shifa ata farmana aur murdon ko zindah kardayna

      MAIN TUMHARAY LIYE MATTI SAY PARIND KI SI MOORAT BANATA HOON PHIR USMAIN PHOONK MARTA
      HOON TO WOH FORAN PARIND HOJATI HAY ALLAH K HUKUM SAY, AUR MAIN SHIFA DAYTA HOON
      MADARZAAD ANDHAY AUR SUFAID DAAGH WALAY KO, AUR MAIN MURDAYJILATA HOON ALLAH K HUKUM
      SAY
      Sura e Aal e Imran-49, Kanzul Imaan

      Delete
  14. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  15. Masha Allah Bahot umda aur Mudallal posts Likhte hain Allah Deen ka Jazba Ata farmay Aaneen ya Rabbal aalameen

    Ye Mera Blog H zaroor check Karen aaur Apni Qeemti Ray se Nawazen
    https://www.Valiyexpress.com

    ReplyDelete
  16. AP deen ki sahi mano mai khidmat kr rhae hai .. allah ap ko draze umar bil khair ata farmaye

    ReplyDelete
  17. Salam
    Kya farooq khan razvi sab se baat hosakti he.
    Mashora lena tha bache k deen talim k mutellek.
    Bete ka naam Ahmed raza he.

    ReplyDelete
  18. Comments me bhokne wale wahabiyo kab tak musalmano par kafiro or butho wali ayat te pes karo gay sawade Azam se gaddari khawaarjiyo tumhe mehngi padegi, MASLAKE ALA HAZRAT JINDA BAAD

    ReplyDelete
  19. Bahot hi badhiya tareeke ke saath is blog ki baaten batai gayi hai jise Har 1 shaksh bakhoobi samajh sakta hai Allah Azzawajal aap Ko kamiyab Kare aameen summa aameen

    ReplyDelete
  20. Karib Hai Ki Tumhe Tumhara Rab Aisi Jagah Khada Karen Jahan Sab Tumhari Hamd Kare” (Surah Bani Israel/Isra Ayat 79) }

    وَ مِنَ الَّیۡلِ فَتَہَجَّدۡ بِہٖ نَافِلَۃً لَّکَ ٭ۖ عَسٰۤی اَنۡ یَّبۡعَثَکَ رَبُّکَ مَقَامًا مَّحۡمُوۡدًا ﴿۷۹﴾


    Muhaqiq e barailbiya se guzarish hai ki is ka tarjuma kiya banega ??

    Kos lafz ka tarjuma hamd kiya gaya.. ??

    ReplyDelete
    Replies
    1. Hamd ka mana hai praise yani tarif toh hamd karenge qayamat k din sab nabi ka tarif karenge kisi ka b tarjuma dekhlo

      Delete
  21. O bahi esa mariyam na madad hawariyon sa wo mangi jo wo kr sakta tha jo on ka ikteyar man the wo ni mangi jis ka akteyar hi na hon on ka pas .missal.mana ap ko kha pana la ka do gelas ap na la k deya madad ho gae ya jaz ha ab man ya kho k wo pani walo gelas or ap ka mera pas aja to yamomkin ni ha ya asbab sa hat k ha jo asbab sa hat k ikteyar hota han wo allah sirf apna pas rakhta ha wo kisi ko ni deya .ham kisi sa koy madad mangta han to ya madad asbab k tahet hoti ha asbab sa hat k ni .misal .ap kisi doctor kpas jaoosa kho kmsre umer 50 sal ha mare olad ni ho rhi koy ilaj do to wo ap ko pagla kha ga ka ya kisa momkan ha ni mana ga balka ya kha ga ka bas doa kr sakta hon allah sa ya .bat ap kuch bhi pahnka ja rha ho ayat ka tarjama or ha or necha or chal rha ha.ab yhan ek swal in ka or othta ha ka allah na nabi ko ikteyr deya ha 2 in ka dawa nabi moktara kulhan kuchka nazdeq kuch ka ikteyar ha.jwab.agar to ya nabi ko moktara kol samjhta han to pihr to nazobillal allah or rasool ka rotba to birabr ho geya allah matlab har ikteyar jo da deya to allah k sath sharek tahra deya is mazeed roshni dali to bat lambi hoja a gidallelan to abhi bari rahti han moshrekena maka ka bhi yahhi maslathaallah ko towo bhi 1 manta tha akila likin onhon na boton ko mabod banya tha kisi bot sa olad kisi rizq kisa kuch kisii sa kuch mangta tha.wo kahta tha a allah ka rsol ap sacha han ham manta hanhamap pr iman bhe la an ga lakin hamra boton kokuchnakhan .to quranmanyahi han wo ka jehnon na allah ka ilawa or mabod bna leya.ya ab bilkul to ni isa kran ga kewnka ya name kmoslman jo han allah in ko hedat da .ameen.2 pahlo pr roshni dalta han .jwab 2.ya kahta han allah na nabi( s.a.w )moktara kul nibalka allah na kuch ikteyar in ko deya han .jisa kuch fareshta allah na apna kamon kaleya moqarar keya han jisa jebrael .a.l.h.wahi otaena ka kam .izraeela.l.h roh kabz krta han kuch barish barta han.isi trha in ko bhi allah na deya han.in keleya ab ek sawal.agar in ko ikteyar deya han to wo kon sa han ka nabi.s.a.w.ka pas ya ikhteyr ha falan peer ka bas ya iktyar han jisa k is zamana man ho rha ha kise peer sa oladkisisa dolat kisi shohrat or inka karobar chal rha ha to isi leya pocha rha han ka jis k pas jo ikteyar han list dan hadees or quran sa sabit kran jobho ho ik hadees dekha dan bas jo she ho na ka zaeef .yani bash kr skan ga keyamat tak list insha allah yo momkin ni ha.point 2.agar in ko ya pta hi ni ha ka kis k pas keya ikteyar ha jisa har faresta k pas 1 ikteyar hota haa kis wo baba peer faqeer to kohd kabar man mar choka han tum on ko q pokarta ho wo tumhri pokar ni son sakta .to os allah ko q ni pokarta ho .point 3 agar ap ka pas list ni ha pta ni ha k kon keya chez da sakta ha to os sa kisa mangta ho jab pta hi ni ap madad mango ya alli madad .alli.r.a.z.to kohd allah sa madad mangta tha.ap kahta ho ap allah k bad sab sa bari hasti sa madad mangta ya rasool madad. To nabi karemm ki hadeesan son lan zara.1 agar tumhara joti ka tasma bhi tot ja a to allah sa mango .on ki shan or zarf ka to ya alam ha .halanka ya madad to asbab k andar ati ha pihr bhi ap na pasand ni keya to pihr aga to ap samjhda han .hadees 2.agar .a lli .r z.h kuch log tari mohabat man gmrah ho jan a ga.or kuch tari nafrat man.ab is hadees ki tafseel don to baat bhot lanbi hoja agi.abhi to bhot kuch rahta tha.insha allah pihr kabh sahi.allah kami kothi maf farma a.ammen

    ReplyDelete
  22. Factory of shirk! Nauzubillah trying to prove shirk from Quran!

    Telling lies withh Quran is a biggest crime! May Allah guide you people!

    ReplyDelete
  23. sir,
    ek bayan mein kaha gaya ki ager koi pahle ghous e paak ka name napaaki me leleta tha to wo mar jata tha. kya ye baat sahi h ager sahi to is baare me islah kr dein please.

    ReplyDelete
  24. sir,
    ek bayan mein kaha gaya ki ager koi pahle ghous e paak ka name napaaki me leleta tha to wo mar jata tha. kya ye baat sahi h ager sahi to is baare me islah kr dein please.yutube per ye bayan #rahenijatplus channel per mil jayega by aminul qadri dwra diya gaya h,

    ReplyDelete
  25. Mei is chez se itefaq nhi karta mujhe Apne Allah se dar lagta hai or Apne nabi ko roze mehshar sharminda nhi karna chata to isi liye na hi mei firqo mei bato ga na dusro ko kahoo ga han jo sahi baat hogi woh mano ga Allah ne or us ke Rasool yani hamare pyare nabi HAZRAT MUHAMMAD MUSTAFA S.A.W ne jo kaha wohi sach hai deen mei kisi kisam ki edition nhi karo ga Allah ne tableeb kaa kam lia or bhai ne ayat bhi share ki bilkul quran sacha hai par Allah ne yeh hargiz nhi kaha jis ko mene apne pass bula lia means jo inteqal kargaye jo shaheed ho gye un se madad mango kuch logo ka aqeeda hai ke hamare nabi zinda hai jb ke woh parda farma gaye ham se malaqul mout ijazat le ker gaye or first nabi hai jin ko salam kia tha ab un se madad mangte hai jb ke Allah kehta mujhi se madad mango or meri ibadat karo jb ke yeh logk ehte ksii or ki ibaadat karna shirk hai madad mangna nhi are bhai madad ap mare huwe ya shadeed ya hamare nabi jid traha parda farma gaye in se ab madad nhi mang sakte Ap apne nabii ki sunnat pr Amal karen or un ki traha mange RABANA KAR KE jitnee bhi nabii ghuzre. Sb ne rabbana kar ke dua mangi❤️ ab bhai ko dalell chahye hogi itna jadeed dour hua search karo or apni kitabo mei match karo kia Allah yeh nhi kehta meri ibadat karo or mujh hi se madad mango 🙂 mei na koi alim hu na koi mufti na koi schoolar par Allah ke deen ko sekhne ke liye sb ki sunta psrhta phir dekhta phir samjhta

    ReplyDelete
  26. wahbiyo ki aqal ghutno me nai balke jism se bahar hoti hai , aur yeh yaqeenan Gustakh hai , itni betuki misal ALLAH ki shan me ek gustakh hi de sakta hai

    ReplyDelete
  27. BHAI AAPNE JO BHI BAATEN KAHI HAI AUR JO QURAN KI AAYATEN PESH KI HAI WO SAB MADAD ASBAB WALI MADAD HAI NA K GAIBI MADAD DUA HI KO GAIBI MADAD KAHTE HAIN JO K MAHAZ ALLAH SE MANGI JATI HAI
    aap koi aisi hadees ya sahaba ikram ka amal pesh kare jahan huzur nabi karim sallallahu alaih wasallam ne iski talim di ho ya kabhi sahaba ikram ne is tarah gaibi madad dua ki tarah kisi se mangi ho
    BAQI TO AAPKE SAARE DALAIL BETUKE HAIN KYUKI HUME DUSRO KI MADAD KARNE KA HUKM QURAN O HADEES ME MAUJUD HAI HUM ZINDA AUR MURDA KI MADAD KI BAAT HI NAHI KARTE HUM YE KAHTE HAIN KISI SE GAIBI MADAD TALAB KARNA JISE HUM DUA KAHTE HAIN WO KAHAN SE SABIT HAI
    HADEES PAK ME FARMAN E NABI SALLALLAHU ALAIH WASALLAM HAI DUA IBADAT HAI PHIR AAPNE SURH MOMINUN KI AAYAT 60 APDHI
    LIHAZA JAB DUA IBADAT HAI TO IBADAT JAB GAIRULLAH KI KI JAYEGI TO YAQINAN SHIRK HOGI
    mera aapse SAWAL HAI KE QURAN NABI EAKRAM SALLALLAHU ALAIH WASALLAM PAR NAZIL HUA JISE AAPNE SAHABA IKRAM KO SAMJHAYA TO PHIR JIN AAYAAT KA MAFHUM AAP BAYAN KAR RAHE HO UN BAATON KO HUZUR PAK SALLALLAHU ALAIH WASALLAM NE KYU BAYAN NAHI KIYA
    jis tarah KHAWARIJ QURAN KI GALAT TASHRIH KARTE THEY USI TARAH AAP BHI KAR RAHE HO UNHONE SHIRK KO KUCH AUR SAMJHA AUR TUM SHIRK KO QURAN SE TAUHEED SABIT KAR RAHE HO APNI KHUD SAKHTA TAFSEER SE JISE NA TO KISI MUFASSIR NE SAMJHA NA SAHABI RASUL NE

    ReplyDelete

Featured post

73 Sects Hadith Scan pages

Post 01 Click Here to Read 73 Me 01 Kaun Post 02 Is Ummat Kay 73 Firqo Me Batt Jane Ka Bayan Hadees 07: Hazrat Abu Hurraira Se Rivayat...

Labels

73 Me 1 Kaun 73 Sects Hadith Scan pages Aashure Muharram kay roze maahe muharram ki fazilat Abdal Gaus Qutub Hadees E Abdaal Abu Hurayra Two Vessels of Knowledge 60 Hijri Afzaliyat E Siddique E Akbar Al Malfooz pe aitraz ka jawab Murde Kafan kay Saath Milte hai All About Yazeed Ashraf Ali Thanvi Kay Dada Aur Qasim Nanatvi Maut Kay Baad Aagaye Bareli Waseela Caliphate In Islam Chand Ka Masla dua Farooque Khan Expose Deobandi Munazir Farooque Khan Razvi Munazra Sharait Fazail E Abu Baqr Siddique Fazail E Ahle Bait E Paak Fazail E farooque e azam Fazail E Hazrat Usman E Gani Fazail E Maahe Ramzan Fazail E Sahaba Fazail Manakib Khulfa Rashideen Fazail Wa Masail E Sehri Gairullah Se madad Haath Kan Tak Uthana Hayat Un Nabi ﷺ Hazrat Abu Baqr Wa Umar Kay Fazail Hazrat Ayesha Aur Ilme Gaib Huzoor Ki Shafat iftar ki fazilat Imam Hasan Aur Imam Hussain kay Fazail Intercession of Holy Prophet Ismail Dahelvi Ki Gustakhi Ismail Dahelvi Nabi ka Khayal aana itikaf in ramzan itikaf ka sawab itikaf ki ahmiyat Itikaf Ki Fazilat Kabr pe azan dena Kabr pe Jaana Kayamat Kay Din Makam E Mustafa Khalifa Rashideen ki Fazilat Khatme Nabuwat hadith Khilafah 30 Years Khilafat E Rashida Khulfa Rashideen Kya Musalman Shikr Kar Sakta hai Kya Nabi ne azan nahi di Kya Waseela Jaiz Hai laylatul qadr Makam E Mehmood Mazar par Chadar Dalna Mazar pe Chadar Chadana kaisa ? Mazar Par Phool Dalna Mukhtar Thaqafi Munafiq Ki Namaz E Janaza Nabi Ne Padhayi ? Munkareen E Hadees Inkar E Hadees Ka Fitna Musafa karna Shake Hands Nabi Ka Waseela Lena Kaisa Nabi Ko Diwar Kay Piche Ka Ilm Nahi Nabi Ne Allah Ka Deedar Kiya Namaz Iqamat Me Kab Khade Hona Chahye Namaz Me Huzoor Ka Khayal Namaz Me Nabi Ka Khayal Aana Kaisa Nida Ya Rasoolullah Pant Fold Karke Namaz padhna Qurbani 03 Din Ya 04 Din Ramzan Ka Chand Ramzan Kay Fazail Roze Kay Fazail SALAT AL TASBEEH Salat Ut Tasbeeh Namaz hadith Shabe Baraat Topic Shabe Qadr Shafat E Nabi Shafat E Rasool Shahadat E Imam Hussain Ki Peshangoyi Shan E Awliya Shan E Aulia Ubaidullah Ibn Ziyad ne jo Kiya yazeed kay Kahne pe Kiya Virtues of Shabe Qadr Waba Kay waqt azan dena Waseela Waseela Biddat Hai Waseela Shirk hai

Total Website Viewers